chahe tu shauq se mujhe wahshat-e-dil shikar kar apno se kat chuka hun main apni ana ubhaar kar jin ko kaha na ja saka jin ko suna nahin gaya wo bhi hain kuchh hikayaten un ko bhi tu shumar kar khud ko aziyyaten na de mujh ko aziyyaten na de khud pe bhi ikhtiyar rakh mujh pe bhi e'tibar kar us ke yaqin-e-husn ka husn-e-yaqin to dekhiye aaina dekhta hai wo apni nazar utar kar rahen rafiq-e-rah ke shauq ka imtihan hain jis mein safar tawil ho rasta wo ikhtiyar kar teri zamin nasib ne tere hunar ko saunp di khwah chaman bana use khwah tu regzar kar 'anjum' abhi hain rah mein shab ki kadi masafaten mahr falak par rah gaya din ka safar guzar kar