boiye mazra-e-dil mein jo inayat ke bij to na hon sabz kabhi apni shikayat ke bij hum ne is mazra-e-hasti mein kiye hain jo amal ek din khinchenge sar un ki mukafat ke bij aah dahqan-e-falak ki kahun kya bad-tukhmi khak-e-adam mein ye nit bowe hai aafat ke bij baghban jab tain hath aawe tere bazr-ul-banj meri turbat pe na bo aur nabaatat ke bij walad-ul-qahba se puchho na, teri zat hai kya bij mein us ke hain makhlut kai zat ke bij dagh sine ke mere turfa dikhate hain bahaar hain ye boe hue kis nakhl-e-tilismat ke bij bistar-e-shaikh pe jo konch ki phalliyan niklin the chhupae hue shayad usi bad-zat ke bij un ko kya howe hai juz rizq-e-pareshan hasil ja-ba-ja bote phiren hain jo mulaqat ke bij 'mushafi' is se bhi behtar ghazal ek aur suna wadi-e-fikr mein bo kar tu khayalat ke bij