khuli wo zulf to pahli hasin raat hui uthi wo aankh to takhliq-e-kaenat hui khuda ne gadh to diya aalam-e-wajud magar sajawaton ki bina auraton ki zat hui gile bahut the magar jab nazar nazar se mili! na mujh se baat hui aur na un se baat hui dil-e-tabah ko kuchh aur kar gai zakhmi! wo ek nigah jo labrez-e-iltifat hui hayat o maut ki ghaarat-gari ka haal na puchh jo maut na ban saki wo 'adam' hayat hui