go husn ki surat hain meri samt rawan bhi ek khwab si lagti hain mujhe raushaniyan bhi kuchh apni kaho dubte taron ko na dekho shayad na mile phir ye nashat-e-guzaran bhi socha tha ki lutun teri furqat ke khazine dekha na gaya tere bichhadne ka saman bhi kuchh dil bhi hai mera gham-e-ayyam se bojhal kuchh sham ki dahliz se uthta hai dhuan bhi kis ajnabi rah-raw ke taaqub mein chala hai paega na tu ret pe qadmon ke nishan bhi karta hun kabhi chashm-e-takhayyul se nazara hota hai kabhi tujh pe mohabbat ka guman bhi tu hasil-e-manzil bhi mera rah-numa bhi tu mujh se gurezan bhi qarib-e-rag-e-jaan bhi