ye phul jo mitti ke hayulon se ata hai mazi ka koi khwab hai manus sada hai sukha hua patta hun ki be-dal pada hun kya jaaniye kis ke liye ye jog liya hai ai khar-e-chaman-zar munajjim to nahin tu farda ka har ek raaz tere lab se suna hai puchho ye sitaron se ki tauzih karen wo kyun lash pe yun chand ki matam sa bapa hai dukhte hue dil se kai shahkar nikale is daur ko hum ne hi ziya-pash kiya hai jam bhi wahi dara bhi sikandar bhi wahi hai ji kar bhi tera aur jo mar kar bhi tera hai tu mujh se gurezan hai to main tujh pe hun qurban ishwa hai jo wo tera to ye meri ada hai fankar ne samjha na mughanni hi ne samjha jo sirr-e-nihan ek qalandar ne kaha hai main phir bhi 'azim' us ki adaon pe mita hun jo marg ka unwan meri hasti ki baqa hai