bojh uthae hue din raat kahan tak jata zindagani mein tere sath kahan tak jata mukhtasar ye ki main bosa bhi ghanimat samjha yun bhi dauran-e-mulaqat kahan tak jata subh hote hi sabhi ghar ko rawana honge qissa-e-daur-e-kharabaat kahan tak jata thak gaya tha main tere nam ko japte japte le ke honton pe yahi baat kahan tak jata chand tare to mere bas mein nahin hain 'azar' phul laya hun mera hath kahan tak jata