chashmak-zani mein karti nahin yar ka lihaz nargis ki aankh mein bhi nahin hai zara lihaz be-gali ab to baat bhi karte nahin kabhi wo ibtida mein karte the be-intiha lihaz tanha main aur itne wahan hain mere raqib naz-o-ada ghamza-o-sharm-o-haya lihaz saqi ki be-rukhi ki kahan tab thi magar pir-e-mughan ki ruh ka karna pada lihaz kya wasf-e-chashm-e-yar karun is ke samne nargis se hai faqat mujhe ek aankh ka lihaz hurmat badi hai us ki na kar hajw is qadar lazim hai dukht-e-raz ka tujhe waiza lihaz nikli na khum se bazm-e-jawanan-e-mast mein pir-e-mughan ka bint-e-inab ne kiya lihaz phir mujh se is tarah ki na kijega dil-lagi khair us ghadi to aap ka main kar gaya lihaz be-khud sharab-e-shauq ne shab ko ye kar diya un ko raha hijab na mujh ko raha lihaz qurban is hijab ke is sharm ke nisar itna na aashiqon se kar ai mah-laqa lihaz mahjub hai mizaj 'qalaq' apna is qadar karte hain apne khurd ka bhi hum bura lihaz