bolne ka nahin chup rahne ka man chahta hai aise haalat mein tu lutf-e-sukhan chahta hai ek to ruh bhi kafur-sifat hai apni aur ab jism bhi be-dagh kafan chahta hai main wafaon ka parastar hun lekin mujh se mera mahbub zamane ka chalan chahta hai tu idhar kaise are chandni surat wale ye wo dhanda hai jo aankhon mein jalan chahta hai wasl ke baad bhi puri nahin hoti khwahish aur kuchh hai jo ye nadida badan chahta hai sune sune se hain lafzon ke shiwale 'kashif' aisa lagta hai ki izhaar badan chahta hai