sham-e-gham hai teri yaadon ko saja rakkha hai main ne danista charaghon ko bujha rakkha hai aur kya dun main gulistan se mohabbat ka subut main ne kanton ko bhi palkon pe saja rakkha hai jaane kyun barq ko is samt tawajjoh hi nahin main ne har tarah nasheman ko saja rakkha hai zindagi sanson ka tapta hua sahra hi sahi main ne is ret pe ek qasr bana rakkha hai wo mere samne dulhan ki tarah baithe hain khwab achchha hai magar khwab mein kya rakkha hai khud sunata hai unhen meri mohabbat ke khutut phir bhi qasid ne mera nam chhupa rakkha hai kuchh na kuchh talkhi-e-haalat hai shamil 'razmi' tum ne phulon se bhi daman jo bacha rakkha hai