yarab dil-o-nazar pe musallat kabhi na ho wo be-khudi ki jis mein shuur-e-khudi na ho itna na dur jao had-e-ikhtilaf se mumkin hai phir wahan se kabhi wapsi na ho dil mein khulus ho to ho ek mustaqil khulus wo kya khulus hai jo kabhi ho kabhi na ho tark-e-talluqat ki ek shart ye bhi thi dil tut jae aur koi aawaz bhi na ho ji chahta hai phulon se kuchh guftugu karun phir sochta hun baad-e-saba dekhti na ho 'gauhar' dil-o-nigah mein ek fasl to rahe lekin dil-o-nazar ka tasadum kabhi na ho