shab-e-firaq mein mere wo baal-o-par katar gaya

shab-e-firaq mein mere wo baal-o-par katar gaya
parind us ki yaad ka nai udan bhar gaya

yahan pe khun bah gaya wahan pe lash gir padi
na jaane kaun shakhs tha safar tamam kar gaya

kisi ki nind tutti koi to raat jagta
isi nagar mein raat ko kisi ka khwab mar gaya

na taeron ka ghol hi hamari chhat pe aa ruka
na apne ghar ke samne wo karwan thahar gaya

wo dopahar guzar gai wo sar ke baal jhad gae
'ayaz' itni der mein hamara din guzar gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close