bu-e-mai pa ke main chalta hua mai-khane ko ek pari thi ki laga le gai diwane ko mere saqi sa kahan koi pilane wala aankhen kahti hain luta dijiye mai-khane ko sakhti-e-ishq uthane ka zamana na raha ab to hai phul bhi pathar tere diwane ko hath mein aate hi kya panw nikale saqi aafrin hai tere chalte hue paimane ko is mein ai ahl-e-watan rae tumhaari kya hai kahti hai wahshat-e-dil ghar se nikal jaane ko chal gaya kaam yahan jam chale ya na chale baada-kash laut gae dekh kai mai-khane ko dil sulagte rahen parwa nahin hoti kuchh unhen shama achchhi ki jala deti hai parwane ko shamil-e-daur hon aghyar sitam hai saqi apne paimane se badhne de na paimane ko husn-e-khidmat ka sila dekhiye yun pate hain rukh mila aaine ko zulf mili shane ko chaal hai mast nazar mast ada mein masti jaise aate hain wo tute hoe mai-khane ko abr mein barq ka rah rah ke chamakna kaisa ye bhi ek us ki hai shokhi mere tadpane ko is mein ai parda-nashin parda-dari kis ki hai dekhne aati hai khilqat tere diwane ko khub insaf hai ai baada-kasho kya kahna tum ko taskin ho gardish ho jo paimane ko hai badi chiz lagi dil ki khuda jas ko de aag mein kud pada dekhiye parwane ko ho ke paband-e-junun sab se rihai pai bediyan lipti thin lakhon tere diwane ko khinch chuki tegh to ab hai ye rukawat kaisi aap tadpane ko aae hain ki tarsane ko koi aisi bhi hai surat tere sadqe saqi rakh lun main dil mein utha kar tere mai-khane ko but-e-pindar ko todo to ho dil pak 'jalil' tum khuda-khana banao isi but-khane ko