wo dil jo tha kisi ke gham ka mahram ho gaya ruswa jahan-e-besh-o-kam mein khwab-e-adam ho gaya ruswa na chaunka nikhat-e-awara ki rudad par koi ye kyun afsana-e-parwaz-e-shabnam ho gaya ruswa dikhai ahl-e-dil ko manzil-e-dar-o-rasan jis ne tumhaari kaj-kulahi ka wo aalam ho gaya ruswa amanat sina-e-lala mein kis ki thi na ye puchho ki sai-e-parda-dari mein mera gham ho gaya ruswa hai aaine ki hairani bhi afsana-dar-afsana tere asrar-e-mahjubi ka mahram ho gaya ruswa pasand aai ghazal ko 'mir' ki aashufta-samani tera raaz-ashna ai zulf-e-barham ho gaya ruswa khabar kya thi ki aansu pi ke bhi jina nahin aasan ye gham kam hai gudaz-e-shewa-e-gham ho gaya ruswa basana tha kisi hile se duniya ke kharabe ko ye aisi maslahat thi jis pe aadam ho gaya ruswa ajab tarz-e-mudawa tha hamare chaarasazon ka ki 'hurmat' irtibaat-e-zakhm-o-marham ho gaya ruswa