bujh gae sare charagh-e-jism-o-jaan tab dil jala khalq ki khatir hamara murshid-e-kaamil jala kuchh bhi dariya ne madad apne padosi ki na ki dur tak pani hi pani tha magar sahil jala raushni mein ek alag si raushni shamil hui aaj lagta hai ki phir koi sar-e-mahfil jala dekhte hi aag patthar ho gaya kaghaz ka jism wo jise aasan jalna tha bahut mushkil jala ab rukh-e-laila nahin hoga kabhi parda-nashin shahr ke aatish-kade mein parda-e-mahmil jala shahr mein bhadki hui thi wasl ki aag aur idhar farhat-ehsas aap apne hijr mein til til jala