munsif-e-waqt se begana guzarna hoga faisla apna hamein aap hi karna hoga zakhm-e-ehsas kabhi chain na lene dega sar-e-maidan-e-tamanna hamein marna hoga tujhe chhu kar bhi tujhe pa na sakenge to hamein surat-e-dard tere dil mein utarna hoga jaane le aai kahan tezi-e-raftar hamein ki thahar jaen to sadiyon ka thaharna hoga asr-e-hazir mein hai jina hi jihad-e-akbar jis ki khatir hamein har shai se guzarna hoga hashr se kam na kisi din ke jhamele honge ek qayamat hamein har shab ka guzarna hoga roen kya dubte suraj ke liye hum 'ruhi' ki nai shan se kal us ko ubharna hoga