donon hain un ke hijr ka hasil liye hue dil ko hai dard dard ko hai dil liye hue dekha khuda pe chhod ke kashti ko nakhuda jaise khud aa gaya koi sahil liye hue dekho hamare sabr ki himmat na tut jae tum raat din satao magar dil liye hue wo shab bhi yaad hai ki main pahuncha tha bazm mein aur tum uthe the raunaq-e-mahfil liye hue apni zaruriyat hain apni zaruriyat aana pada tumhein talab-e-dil liye hue baitha jo dil to chand dikha kar kaha 'qamar' wo samne charagh hai manzil liye hue