bujh gai dil ki raushni rah dhuan dhuan hui subah chale kahan se the sham hamein kahan hui shauq ki rah-e-pur-khatar tai to kar aae hum magar nazr-e-hawadis-e-safar daulat-e-jism-o-jaan hui ishq-o-junun ke wardat dida-o-dil ke sanehat biti hui har ek baat dur ki dastan hui koi bhi ab nahin raha jis ko sharik-e-gham kahen daur-e-tarab ki yaad bhi shamil-e-raftagan hui lut gai kaise dafatan raushniyon ki anjuman aa ke kahan se khema-zan zulmat-e-be-karan hui kis ko khabar ki hum ne kya khwab bane hain umr-bhar kis se kahen ki zindagi kis liye raegan hui tarz-e-bayan to be-qayas the tere gham-zadon ke pas bol uthi nigah-e-yas band agar zaban hui