mera shahid wo hamein ayyar aata hai nazar hum ko hum pate nahin jab yar aata hai nazar kasrat-e-shauq-e-mohabbat mein mujhe har tarah se jis taraf dekhun rukh-e-dil-dar aata hai nazar jaan ka dhoka hamein hota hai rah-e-ishq mein marg ka har ek dam aasar aata hai nazar dagh-e-hijran ke siwa laya na ku-e-yar se jo koi is rah ka bimar aata hai nazar pa-barahna sina biryan hai tan-e-uryan wahi jo ki us ka aashiq-e-sarshaar aata hai nazar rah se dair-o-haram ki hai jo ku-e-yar mein hai wahi din-dar gar kuffar aata hai nazar baad muddat gardish-e-tasbih se 'miskin' hamein dana-e-tasbih mein zunnar aata hai nazar