hamari aankh mein thahra hua samundar tha magar wo kya tha jo sahra-e-dil ke andar tha usi ko zulf mein tanke ye aarzu kyun-kar wo phul jo ki teri dastaras se bahar tha wo waqt aaega jab khud tumhi ye sochogi mila na hota agar tujh se main to behtar tha har ek ang labaalab bhara ho jaise jam tumhaara jism tha ya mai-kade ka manzar tha use bhi jate hue tum ne mujh se chhin liya tumhaara gham to meri aarzu ka zewar tha bahut qarib se dekha tha us ko ai 'azad' wo aarzu ka meri ek hasin paikar tha