jahaalat ka manzar jo rahon mein tha wahi besh-o-kam dars-gahon mein tha jo khanjar-ba-kaf qatl-gahon mein tha wahi waqt ke sarbarahon mein tha ajab khamushi us ke honton pe thi ajab shor us ki nigahon mein tha use is liye mar dala gaya ki wo zist ke khair-khwahon mein tha hamari nazar se wo kal gir gaya jo kal tak hamari nigahon mein tha wo kya deta 'akhtar' kisi ko panah jo khud umr bhar be-panahon mein tha