bujha charagh hawaon ka samna kar ke bahut udas hua hun daricha wa kar ke sukut tut gaya aur raushni si hui sharar sang se nikla khuda khuda kar ke khula na din ko kisi ism se wo aahani dar ab aao dekhte hain raat ko sada kar ke udunga khak sa pahle-pahal aur aakhir-e-kar hawa-e-tund ko rakh dunga main saba kar ke wo jis ke bojh se kham bhi na thi hamari kamar hum aaj aae hain wo qarz bhi ada kar ke