chashm-e-hairat sare manzar ek jaise ho gae dekh le sahra samundar ek jaise ho gae jagti aankhon ko meri bar-ha dhoka hua khwab aur tabir aksar ek jaise ho gae waqt ne har ek chehra ek jaisa kar diya aarzu ke sare paikar ek jaise ho gae jab se hum ko thokaren khane ki aadat ho gai raston ke sare patthar ek jaise ho gae dida-e-tar ki kahani ab mukammal ho gai dard sab ashkon mein ghul kar ek jaise ho gae 'shad' itni badh gai hain mere dil ki wahshaten ab junun mein dasht aur ghar ek jaise ho gae