bujha sa rahta hai dil jab se hain watan se juda wo sehn-e-bagh nahin sair-e-mahtab nahin base hue hain nigahon mein wo hasin kuche har ek zarra jahan kam ze-aftab nahin wo bagh-o-ragh ke dil-chasp-o-dil-nashin manzar ki jin ke hote hue khuld misl-e-khwab nahin wo juebar-e-rawan ka tarab-faza pani sharab se nahin kuchh kam agar sharab nahin ba-rang-e-zulf pareshan wo mauj-ha-e-rawan ki jin ki yaad mein raaton ko fikr-e-khwab nahin sama rahe hain nazar mein wo mahw-shan-e-haram haram mein jin ke sitare bhi baryab nahin watan ka chhed diya kis ne tazkira 'akhtar' ki chashm-e-shauq ko phir aarzu-e-khwab nahin