yahi sochte hain aksar kahan aa gae khushi mein ki ye din guzar rahe hain jo hisar-e-be-khudi mein ye safar hai aarzu ka yahan dhup-chhanw bhi hai kabhi dil mein raushni hai kabhi dil hai raushni mein wahi denge ab ujala tere qalb be-khabar ko jo charagh jal uthe hain meri sham-e-zindagi mein mujhe e'tibar-e-ulfat tumhein hai yaqin mera koi mil saka na tum sa mujhe sari zindagi mein tere sath hai kuchh aisa meri juraton ka aalam koi dar hai zindagi mein na hai khauf koi ji mein tera nam padh rahi hun tera nam likh rahi hun main tujhe samo rahi hun mere zauq-e-shairi mein meri zat ko sajaane koi aaina na dena mera husn jalwa-gar hai abhi 'taj' sadgi mein