gai jo tifli to phir aalam-e-shabab aaya gaya shabab to ab mausam-e-khizab aaya main shauq-e-wasl mein kya rail par shitab aaya ki subh hind mein tha sham panj-ab aaya kata tha roz-e-musibat khuda khuda kar ke ye raat aai ki sar pe mere azab aaya kahan hai dil ko abas dhundhte ho pahlu mein tumhaare kuche mein muddat se us ko dab aaya kisi ki tegh-e-taghaful ka main wo kushta hun na jaga neze pe sau bar aaftab aaya nazar padi na meri roab-e-husn se rukh par agarche samne mere wo be-naqab aaya hamesha surat-e-anjum khuli rahin aankhen firaq-e-yar mein kis roz mujh ko khwab aaya hua yaqin ki zamin par hai aaj chand-gahan wo mah chehre pe jab dal kar naqab aaya hue jo dida-e-girya se apne ashk rawan guman hua ki barasta hua sahab aaya bana tasawwur-e-laila ba-surat-e-taswir kabhi jo qais ki aankhon mein shab ko khwab aaya wo zud-ranj hai us ko na chhedna 'rana' maloge hath agar bar-sar-e-itab aaya