chhati hai rah se gard-e-malal mere liye ki jhumti hai hawa dal dal mere liye hua hai kya karun jina muhaal mere liye mere hi shahr se mujh ko nikal mere liye koi bhi kaam nahin ho saka hai fursat mein ki kam pade hain bahut mah-o-sal mere liye wo kaun hai jo meri aarti utarega saja ke rakkha hai kis ne ye thaal mere liye main phunk phunk ke chalta hun rah mein us ki qadam qadam pe bichhae hain jal mere liye kahin pe ho gae pazhmurda phul aangan mein hua hai sabza kahin paemal mere liye khula ye raaz rihai ke baad hi mujh par banaya us ne mujhe yarghamal mere liye mera dimagh hai mauf dil udas bahut hua hai jism bhi mera nidhaal mere liye hue hain raste masdud kyun mere 'hamdam' junub mere liye tha shumal mere liye