gham-e-zindagi ka to gham nahin ki mujhe ghamon se hi pyar hai tera gham bhi mujh ko aziz hai tere gham mein lutf-e-bahaar hai jo udas aaya koi nazar to khizan pukari ba-chashm-e-tar mere aane ka koi gham na kar mere baad fasl-e-bahaar hai teri bazm-e-mai mein ba-sad-khushi jo piya tha baada-e-gham kabhi wahi jam hai meri zindagi mujhe aaj tak wo khumar hai kabhi shikwa tere sitam ka hai kabhi shukr tere karam pe hai rah-o-rasm-e-ishq bhi khub hai na sukun hai na qarar hai na to chhed ab meri dastan mere ham-nafas mere ham-zaban main wahi hun 'khalid'-e-khasta-jaan ki jo zindagi ko bhi bar hai