bujhi nahin abhi ye pyas bhi ghanimat hai zaban pe kanton ka ehsas bhi ghanimat hai rawan hai sans ki kashti isi ke dhaare par ye ek tuti hui aas bhi ghanimat hai nishan numu ke hain kuchh to bisat-e-sahra par jhulasti jalti hui ghas bhi ghanimat hai phir is ke baad tumhaari shanakht kya hogi riwayaton ki ye bu-bas bhi ghanimat hai wo ab bhi milta hai apni ada-e-khas ke sath ki waza-dari ka ye pas bhi ghanimat hai