main sikhta raha ek umr haw-hu karna yunhi nahin mujhe aaya ye guftugu karna abhi talab ne jhamelon mein dal rakkha hai abhi to sikhna hai teri aarzu karna hamein charaghon se dar kar ye raat bit gai hamara zikr sar-e-sham ku-ba-ku karna bhala ye kis ne kaha tha hayat-bakhsh hai ye ishq kabhi mile to use mere ru-ba-ru karna kise khabar kise milta hai lams-e-fikr-e-rasa khayal-e-yar ke zimme hai justuju karna mujhe bhi ranj hai murjha gae wo phul se log bata raha hai mera zikr-e-rang-o-bu karna sukut-e-shab ne sikhaya tha mujh ko aakhir-e-shab bala ka shor ho jab khamushi rafu karna