chala hawas ke jahanon ki sair karta hua main khali hath khazanon ki sair karta hua pukarta hai koi dubta hua saya larazte aaina-khanon ki sair karta hua bahut udas laga aaj zard-ru mahtab gali ke band makanon ki sair karta hua main khud ko apni hatheli pe le ke phirta raha khatar ke surkh nishanon ki sair karta hua kalam kaisa chaka-chaund ho gaya main to qadim lahjon zabanon ki sair karta hua ziyaada dur nahin hun tere zamane se main aa milunga zamanon ki sair karta hua