mujhi mein jita hai suraj tamam hone tak main apne jism mein aata hun sham hone tak khabar mili hai mujhe aaj apne hone ki kahin ye jhut na ho jae aam hone tak kahan ye jurat-e-izhaar thi kisi shai mein sukut-e-shab se mere ham-kalam hone tak ye pukhtagi thi ghamon mein na dhadkanon mein sabaat tumhaare dard ka dil mein qayam hone tak ye chand tare meri dastaras se dur nahin ki fasle hain mere tez-gam hone tak guzar rahe hain nazar se nazar milae baghair thahar bhi jaiye ek ek jam hone tak diye bujha diye jate hain subh tak 'azim' mera hawala diya us ne nam hone tak