bulandiyon se wo be-dagh nur ubhar aae hazar rang tahi wusaton mein bhar aae khile nigah ki shakhon pe intizar ke phul hawa mein udte hue baadban nazar aae labon se bichhde hue qahqahe teri manind ruten guzar gain lekin na laut kar aae bujhi bujhi hui aankhen bhanwar bhanwar chehre jab aaftab ki lau bujh rahi thi ghar aae buland-o-past pahadon ke silsilon ki tarah hum apne aap ko bhi muntashir nazar aae nadi nasheb-numa uljhanon mein dub gai nihan sukut tah-e-ab se ubhar aae