kisi ke nam pe nanhe diye jalate hue khuda ko bhul gae nekiyan kamate hue wagarna baat hamari samajh se bahar thi ye ishq ho gaya bas ruthte manate hue hamari wapsi aasan nahin yaqin mano yahan tak aae hain hum kashtiyan jalate hue unhen aziz hai jina jo ji rahe hain yahan mazaq ban ke khud apna mazaq udate hue bhadas dil ki nikali gai kuchh aise bhi duaen mangi gain chikhte chillate hue main ghir gaya hun yahan par bahut se apnon mein tere liye sabhi kuchh daw par lagate hue