dibacha-e-kitab farishte se kho gaya mazmun-e-an-janab farishte se kho gaya tahrir jo kiya tha hamare sawal par yazdan ka wo jawab farishte se kho gaya hum ko payambari ki bashaarat nahin mili ilham ka wo khwab farishte se kho gaya sarzad hui thin nashshe mein hum se bhi nekiyan wo daftar-e-hisab farishte se kho gaya kausar se bhar ke saqi ne bheja tha hum ko jo mashkiza-e-sharab farishte se kho gaya aashiq ne koh-e-tur pe khoya hai hosh yun mahbub ka naqab farishte se kho gaya injil-e-pak mein to hamara bhi zikr tha aayat ka wo bab farishte se kho gaya