dekh kar hum ko asir-e-arzu aur bhi wo ho gae begana-khu phad dala dast-e-wahshat ne jise phir karen kya is gareban ka rafu phir sajao mahfil-e-dar-o-rasan muztarib hai phir zaban-e-guftugu gar ziyaada se ziyaada hon gunah kam nahin hai aayat-e-la-taqnatu mujh ko dar lagta hai apne shahr mein hain bahut unche yahan ke kakh-o-ku jab bhi rut aati hai patjhad ki yahan chus leti hai bahaaron ka lahu rah ke 'najmi' ne pas-e-parda yahan kar diya hai sab ko mahw-e-justuju