charcha hamara ishq ne kyun ja-ba-ja kiya dil us ko de diya to bhala kya bura kya ab kholiye kitab-e-nasihat ko shaikh phir shab mai-kade mein aap ne jo kuchh kiya kiya wo khwab-e-naz mein the mera dida-e-niyaz dekha kiya aur un ki balaen liya kiya roz-e-azal se ta-ba-abad apni jaib ka tha ek chaak jis ko main baitha siya kiya dekhe jo dagh daman-e-isyan pe be-shumar main ne bhi josh-e-girya se tufan bapa kiya gum-karda rah aae hain wo aaj mere ghar ai meri aah-e-nim-shabi tu ne kya kiya kya puchhte ho dast-e-qanaat ki kotahi kuchh wa shab-e-visal mein band qaba kiya lazzat hi thi kuchh aisi ki chhoda na sabr ko karte rahe wo jaur-o-sitam main saha kiya kya shai thi wo jo aankh se dil mein utar gai dil se uthi to ashk ka tufan bapa kiya phir le chala hai kal mujhe kyun bazm-e-yar mein ijad us ne kya koi tarz-e-jafa kiya 'shaida' ghazal padho koi majlis mein dusri ek padh ke rah gae to bhala tum ne kya kiya