husn ki bijliyan al-aman al-aman ishq ki garmiyan jawedan jawedan bagh mein gar nasheman jala kya hua gham hai sahra hue gulistan gulistan kuchh na mahmil-nashin ka pata mil saka hum phire dhundte karwan karwan bagh-e-alam mein gar koi bijli giri raushni ho gai aashiyan aashiyan hai yaqinan koi baat aisi ki tum ho tabassum ba-lab shadman shadman ek din ghuncha-dil bhi khil jaega aaegi fasl-e-gul gulsitan gulsitan kya asar kuchh girani ka tum par nahin shams' phirte ho kyun shadman shadman