bund ko bund samundar ko samundar kahna samne koi ho sachchai ko khul kar kahna qafile walon ke is sabr-o-tahammul ko salam koi aasan hai rahzan ko bhi rahbar kahna nekiyan milti hain nisbat se buzurgon ki miyan ye bhi tabligh hai is baat ko ghar ghar kahna baz ba-baz kabutar ba-kabutar rakhiye kuchh munasib nahin har ek ko ham-sar kahna guftugu ke hain kuchh aadab ghazal walon mein zulf ko kali ghata aankh ko saghar kahna