zauq-e-didar-e-tamasha-bar ruswai hua khud tamasha ban gaya jo bhi tamashai hua qarya qarya dhundhti hai ruh-e-laila qais ko najd ke sahra mein phir aisa na saudai hua jis lahu se dil mein raushan dard ki mashal rahi wo lahu ek bewafa ke rukh ki zebai hua jaan kar hum kya karenge chhod is qisse ko ab kaun sachcha ishq mein tha kaun harjai hua khud-sari mein apne sae se jo lipte rah gae un ghazalon ka muqaddar dasht-e-tanhai hua raushni ki ek kiran bhi ab to qismat mein nahin chhin gain aankhen to phir ehsas-e-binai hua jo zaban par la na sakte the ayan sab par hua fan hamara bais-e-tazhik-o-ruswai hua hai junun ke faiz se ye jumbish-e-pa warna kab khar-zaron se ilaj-e-abla-pai hua kya tawaqqoa ab rakhen 'iqbaal' is duniya se hum har qadam par bhai ka dushman jahan bhai hua