gesu-e-yar ko chehre pe bikharta dekha moajiza dekhiye din raat ko yakja dekha yun shab-e-hijr mein un ko bhi tadapta dekha bistar-e-marg pe goya ki masiha dekha khud ko bhi husn ka diwana samajh baitha hai us pari-chehra ka waiz ne jo shisha dekha kashmakash qatra-e-ansu ki teri palkon par hum ne girte hue tare ko larazta dekha phir wahi yaad-e-guzishta wahi uljhan wahi gham dil ko un baada-o-saghar se bhi bahla dekha