dur ke jalwon ki shadabi ka dil-dada na ho tu jise dariya samajhta hai kahin sahra na ho aaine ko ek muddat ho gai dekhe hue wo jabin-e-shauq jis par soch ka saya na ho wo bhi mere pas se guzra usi andaz se main ne bhi zahir kiya jaise use dekha na ho is taraf kya turfa aalam hai ye khul sakta nahin aadmi ka qad agar diwar se uncha na ho maslahat chahe rahun dale tasanno ka naqab dosti ki mang chehre par koi parda na ho dhup se ghabra ke baitha to hai lekin dekh le ye kisi girti hui diwar ka saya na ho qahqahon ki chhanw mein ek shakhs baitha hai udas wo bhi meri hi tarah is bhid mein tanha na ho 'sabir' in manus galiyon se to dil ukta gaya aa chalen is shahr mein pahle jaise dekha na ho