bura kahne se mujh ko muddaa kya koi puchhe to us ne ye kaha kya sunen hum bhi ki dushman ne kaha kya bhala jhuti shikayat ka gila kya mohabbat ki ye baaten hain meri jaan wafa ki ibtida kya intiha kya na kije mujh se ghairon ki shikayat bhula di aap ne tarz-e-wafa kya suna hai qais tha laila ka aashiq mohabbat ho to phir achchha bura kya jawani mein ye nadani ki baaten wo kahte hain ki wade ki wafa kya wafa par jaan bhi qurban hai apni jo puchhe hum ko us ka puchhna kya khile the us ke lab ghunche ki surat bata to do ki 'shankar' se kaha kya