burai kya hai tum ilzam do burai ka bashar hun main mujhe dawa nahin khudai ka kiya hai sajda kabhi ya nahin kiya khush hun jabin pe dagh nahin sajda-e-riyai ka kisi ke ishq mein diwane hum na gar hote to raaz khul nahin sakta tha parsai ka zara tum ab kahin chhup jao har tadap lau hain ki yaad aaya hai mujh ko maza judai ka nahin hai meri kisi aur ki hai ye bhi hadis qusur-war agar hun main khud-satai ka jise yaqin hai ki us ke nasib mein tum ho gunah kyun wo kare qismat-azmai ka rawan-dawan hun mujhe apni dhun mein hosh kahan bahana le ke jo baithun shikasta-pai ka usi ki rah mein kante bichhae jate hain nasib uzr jise hai barahna-pai ka kise hai ilm nasibon mein mere aap nahin khayal chhod dun kyun qismat-azmai ka jo ishq aam hai mere liye hai nang-e-hayat madar aur hai meri ghazal-sarai ka bada maza tha tadapne mein tilmilane mein na bhulta hai na bhulega din judai ka chaman ho aur shab-e-mahtab-o-halqa-e-ahbab maza jabhi hai 'jigar' kuchh ghazal-sarai ka