jigar mein dard to hai dil mein iztirab to hai tumhaare gham mein meri zindagi kharab to hai main sirf tira-shabi par yaqin nahin rakhta abhi zamin pe chamakne ko aaftab to hai abhi surur ke asbab pae jate hain ki mai-kade mein surahi to hai sharab to hai har ek shakhs zamane mein inqilabi hai ki inqilab nahin fikr-e-inqilab to hai guzar rahi hai tasawwur mein zindagi apni ab 'arzu' na sahi aarzu ka khwab to hai