buri khabar hai use mushtahar nahin karte kisi ke aib ko yun be-hunar nahin karte mere buzurg hain tul-e-kalam ke shaida kahaniyon ko kabhi mukhtasar nahin karte mujhe bhi shauq hai duniya ko fath karne ka magar pahad ko ujlat mein sar nahin karte na jaane kaun sa mausam ho phul-patton ka isi liye to ye paude safar nahin karte main aaj apne hi akhlaq se pareshan hun takallufat mujhe mo'atabar nahin karte