buri zaminon ke faslon ko mitate rahna main laut aaunga mujh ko wapas bulate rahna ye gard-baadon ka masala hai ki mashghala hai hawa ke daman pe daere se banate rahna teri talab ke alawa apna koi nahin hai qarib aa kar bhi kuchh na kuchh dur jate rahna tumhaari aankhen to zindagi se bhari hui hain hamare jaison ka hausla bhi badhate rahna wo nazm jis ko padha nahin tha jiya tha hum ne koi bhi rut ho bahaar aai sunate rahna visal kya hai supurdagi ka kamal kya hai badha-chadha kar saheliyon ko batate rahna nazar bhi rakhna mohalle walon ki zindagi par kabutaron ko bhi dana-wana khilate rahna bichhadna chaho to apne dil ki nafi na karna yahi bahut hai jahan raho muskuraate rahna ye ped wo hain jo aasmanon ko saya denge jo ho sake to dua ke paude lagate rahna hamari duniya mein hairaton ki bahut kami hai ye aag andar se bujh rahi hai jalate rahna