mujh par inayaten hain kai sahiban ki kuchh hain zamin walon ki kuchh aasman ki apne safar ka tanha musafir nahin hun main izzat judi hai mujh se mere khandan ki wo mujh ko aazma ke kadi dhup mein raha mujh ko khizan bahaar lagi imtihan ki 'khusraw-amir' ki ya barahman ki ho ghazal muhtaj kab rahi hai kisi bhi zaban ki hindi ki apni shan hai urdu ki apni shan donon hi aan-ban hain hindostan ki