abhi kuchh aur karishme ghazal ke dekhte hain 'faraaz' ab zara lahja badal ke dekhte hain judaiyan to muqaddar hain phir bhi jaan-e-safar kuchh aur dur zara sath chal ke dekhte hain rah-e-wafa mein harif-e-khiram koi to ho so apne aap se aage nikal ke dekhte hain tu samne hai to phir kyun yaqin nahin aata ye bar bar jo aankhon ko mal ke dekhte hain ye kaun log hain maujud teri mahfil mein jo lalachon se tujhe mujh ko jal ke dekhte hain ye qurb kya hai ki yak-jaan hue na dur rahe hazar ek hi qalib mein dhal ke dekhte hain na tujh ko mat hui hai na mujh ko mat hui so ab ke donon hi chaalen badal ke dekhte hain ye kaun hai sar-e-sahil ki dubne wale samundaron ki tahon se uchhal ke dekhte hain abhi talak to na kundan hue na rakh hue hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain bahut dinon se nahin hai kuchh us ki khair khabar chalo 'faraaz' ku-e-yar chal ke dekhte hain