burida gesuon mein aankh ka rasta nahin tha wo chehra khubsurat tha magar dekha nahin tha main jab sahil pe utra khalq meri muntazir thi kai din ho gae the baadshah milta nahin tha bulate the hamein injir aur zaitun ke phal magar wadi mein jaane ka koi rasta nahin tha tana yaqut ka shakhen zamurrad ki bani thin samar lal-o-gohar the nakhl ka saya nahin tha paron mein aaine minqar mein taj-e-shahi tha parinda qaf se aaya magar udta nahin tha