phir na kuchh baqi nishan mera rahe kuchh rahe to bas bayan mera rahe jo jigar se uth raha hai dam ba dam baad mere wo dhuan mera rahe koi chaarasaz koi gham-gusar bas ki aisa raaz-dan mera rahe main jiyun jitna jiyun sab ke liye zindagi ka yun ziyan mera rahe aabiyari main lahu se kar raha bin khizan ke gulistan mera rahe tum siwae man ke ghar ke le lo sab bas wo tuta sa makan mera rahe ye bhi mumkin ho sake 'hasrat' bhala taron ke bin aasman mera rahe